Zindagi - Javed Ali Lyrics
| Singer | Javed Ali |
| Music | Darbuka Siva |
| Song Writer | Rashmi Virag |
Zindagi
Tha jo meri
Hai kahan bata
Ek bhola sa chehra tha bilkul duaaon jaisa
Jaane kahan woh kho gaya
Jise choo loon to lagta tha rab ki
Panaahon jaisa
Jaane kahan woh kho gaya
Mere safar ka humsafar
Mujhse hi anjaan tha kyun
Jiske liye sadiyon ruka
Do pal ka mehmaan tha kyun
Waqt ki tarah mere haathon se udd gaya
Main wahin raha aur woh aage badh gaya
Mere liye toh sab kuch tha woh
Ab kuch na reh gaya
Choti si meri duniya tha woh
Mera ghar khali ho gaya
Dil abhi mera nahi toota hai theek se
Hai tika hua bas ek ummeed pe
Khwaabon mein aata hai roz jo
Sach-much mein aa jaaye toh
Tum tod dena poori tarah
Koi galti jo phir ho
Zindagi
Se meri
Baat toh kara
Saath uske bahoonga main thandi hawaaon jaisa
Daaman na chodoonga kabhi
Mujhe ek baar dus baar sau baar
De saza tu
Kuch bhi na bolunga kabhi
Sari umar o humsafar
Parchaayi teri banunga
Khud ko kabhi dekhoge toh
Main aaine mein dikhunga
0 comments:
Post a Comment